Translate

Wednesday, 5 February 2014

koi shehnai gunji to,dil-e-gulzar ho gaya;
koi barat dekhi to,jawa ye husn khil gaya;

mukkadar mein agar maut hi hai sangini meri;
aur talaq-e-zindagi hai gar mera tohfa;
toh fir mazlis ye kaisi,kahe ka dhoka;
janaje ke huzum mein fir se wo ehtaram mil gaya;
koi shehnai gunji to......................

sharafat ka muhalla,rat bhar karwat badalta hai;
inayat aur prasansa ko ,sada hi wo tarasta hai;
koi khakhi si wardi mein,to koi hathiyar band dasta;
uda kar dhajjiya inki,yaha se par ho gaya;

bhala us kaum ka matlab raha hi zindagi mein kya;
jo khud apni nasal ka nasur banti hai;
bujhati hai charago ko,sehar mein rausandan banti hai;
gamon ki mehfilo se ,gar koi nagma sa gunja to;
khamosh baithe hoth ko fasana mil gaya...........
koi shehnai gunji toh........

No comments:

Post a Comment